Sunday, 27 December 2015
Aa Kisi Sham - Heart Touching Urdu Poetry - Voice Zia Anjum
Poet : Farhat Abbas Shah
Voice : Zia Anjum
http://www.Facebook.com/Xia.Anjum
---------------------
Download In Audio Mp3 :-
http://www.mediafire.com/?860s3bopu0gbier
---------------------
Aa Kisi Sham Kisi Yaad Ki Dehleez Pe Aa
Umr Guzri Tujhay Dekhay Huay, Behlaye Huay
Yaad Hai?
Hum Tujhay Dil Mantay Thay
Apney Seeney Me Machalta Huwa Ziddi Bacha
Tere Her Naaz Ko Ungli Se Pakar Kr Aksar
Nit Naye Khwaab K Bazaar Me Ley Aatey They
Teray Her Nukhray Ki Fermaish Per
Aik Jeewan Ki Tamannaon Ki Beenai Say Hum
Dekhtay Thuktay Hi Na Thay
Sochtay Thay
Aik Chota Sa Naya Ghar
Mohabbat Ki Faza
Hum Donon
Aur Kisi Baat Pe Takyon Say Larai Apni
Phir Larai Main Kabhi Hanstay Huay Ro Perna
Aur Kabhi Rotay Huay Hans Perna
Aur Thuk Haar Key Gir Pernay Ka, Masoom Khushi Buksh Khayal
Yaad Hai?
Hum Tujhay Sukh Jaantay Thay
Raat Hans Perti Thi Bay-Sakhta Dershan Say Teray
Din Teri Doori Say Ro Perta Tha
Yaad Hai?
Hum Tujhay Jaan Keha Kertay Thay
Teri Khamoshi Say Mer Jatay They
Teri Aawaz Say Jee Uthtay Thay
Tujh Ko Choo Lenay Say Ik Zindagi Aa Jati Thi, Sheryanon Main
Thaam Lenay Say Koi Sheher Sa Bus Jata Tha, Weeranon Main
Yaad Hai?
Hum Tujhay Milnay Kay Liye
Waqt Say Pehlay Pohonch Jatay Thay
Aur Mulaqat Kay Baad
Hum Bohot Dair Say Ghar Aatay To Kehtay
Hamain Kuch Na Kaho
Hum Bohot Dur Say Ghar Aaye Hain
Is Qadar Dur Say Ghar Aaye Hain Keh Shaid Hi Koi Aa Paye
Yaad Hai?
Hum Tujhay Bhagwan Samajhtay Thay Magar Kufr Say Dar Jatay Thay
Teray Chin Janay Ka Dar Theek Say Rakhta Tha Musalmaan Hamain
Aa Kisi Sham, Kisi Yaad Ki Dehleez Pe Aa
Teray Bhoolay Huay Rastay Pe Liye Phirta Hai Imaan Hamain
Aur Kehta Hai Pehchan Hamain
Yaad Hai?
Hum Tujhay Imaan Kaha Kertay Thay
--------------
Zia Anjum Voice Poetry
GumSum Creationz
Presents
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment